Friday, August 14, 2009

murdon ke shehar main sada dete ho
bade nadan ho ye kya karte ho

Tuesday, July 21, 2009

sach ka ghar - bahut bahut swagat hai aap ka is
sach ka ghar main .

na dar ke, na ghabra ke
na dabaav main,aap azaadi main
keh jayiye sach, kyoun ki ye hai
sach ka ghar

doston insaan apni zindigi main bahut se
aise kaam karta hai jinhe vo bata nahi sakta hai.
lekin vo saare kam uski zindigi ke keemti anmol sach hain.

vo kaam kabhi apni khushi ke liye kiye jaate hain aur kabhi wakt kara deta hai.
jise ham dabaab aur majburi ka naam dete hain .

sach kyoun likhen - sach isliye likhiye kyounki aap apne aap ko khuli
keetab mehsus karenge (khuli keetab matlab ek aisa jivan jismain koi bhaar nahi
hota hai jismain chehare pe ek nayapan hota hai sachayi ki chamak hoti hai) log
kehte hain ki sach kadva hota hai lekin sach tab tak kadvaa hota hai jab tak sach
bola na jaaye, suna na jaaye lekin jab sach bol diya jataa hai sun liya jataa hai to
sach mitha amrat ban jataa hai .
main jaanta hun doston aap ke sach aise sach hoenge jo nihsandeh rup se logon
ko aashcharye chakit kar dene waale honge kyoun ki ye duniya rangeen hai aur
ye sach bhi rangeen hain aur khubsurat hain. Aayiye ham yahan apni zindigi ke
sach likhte hain.